bahut sukun tha gham tha mere fasane mein
bahut sukūn thā ġham thā mire fasāne meñ
ye shīsha Tuut gayā dekhne dikhāne meñ
ye sach hamāre sahāre se chal nahīñ paayā
tabhī to Tuut gayā jhuuT ik bahāne meñ
bahut ġhurūr thā in bijliyoñ ko apne par
shikast khā ga.ī phir bhī is āshiyāne meñ
hamāre daur meñ insāniyat bhī bebas hai
bahut sukūn hai phir bhī sharāb-ḳhāne meñ
bahāreñ DhūñDh rahī thiiñ Thikāne gulshan meñ
juTī thiiñ titliyāñ māhaul ik banāne meñ
vo baat jis kā zamāne meñ koī zikr nahīñ
vo baat aa ga.ī kaise mire fasāne meñ
hamāre baa'd hameñ DhūñDhne chalī duniyā
hamārā koī badal hī nahīñ zamāne meñ
hamāre sach ko koī rāsta nahīñ detā
ye phaT na jaa.e kahīñ oḌhne bichhāne meñ
chalo sukūn se bad-nāmiyāñ hī tai kar leñ
isī hujūm ke tum bhī to ho nishāne meñ
bahut sukun tha gham tha mere fasane mein
ye shisha Tut gaya dekhne dikhane mein
ye sach hamare sahaare se chal nahin paya
tabhi to Tut gaya jhuT ek bahane mein
bahut ghurur tha in bijliyon ko apne par
shikast kha gai phir bhi is aashiyane mein
hamare daur mein insaniyat bhi bebas hai
bahut sukun hai phir bhi sharab-KHane mein
bahaaren DhunDh rahi thin Thikane gulshan mein
juTi thin titliyan mahaul ek banane mein
wo baat jis ka zamane mein koi zikr nahin
wo baat aa gai kaise mere fasane mein
hamare ba'd hamein DhunDhne chali duniya
hamara koi badal hi nahin zamane mein
hamare sach ko koi rasta nahin deta
ye phaT na jae kahin oDhne bichhane mein
chalo sukun se bad-namiyan hi tai kar len
isi hujum ke tum bhi to ho nishane mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.