bahut talKH hain zindagi ke fasane
bahut talḳh haiñ zindagī ke fasāne
mire ḳhvāb haiñ phir bhī kitne suhāne
sahārā na detī agar mauj-e-tūfāñ
Dubo hī diyā thā hameñ nā-ḳhudā ne
sahar ko to aanā hai aa kar rahegī
kaTe kaise lekin ye shab kaun jaane
girī aur girtī rahī barq-e-sozāñ
bane aur bante rahe āshiyāne
sitāroñ se aage bahut kuchh hai maanā
zamīñ par bhī jiine ke hoñ kuchh bahāne
'kalīm' aaj kyā soch kar ho ga.e chup
are aa ga.e yaad kab ke zamāne
bahut talKH hain zindagi ke fasane
mere KHwab hain phir bhi kitne suhane
sahaara na deti agar mauj-e-tufan
Dubo hi diya tha hamein na-KHuda ne
sahar ko to aana hai aa kar rahegi
kaTe kaise lekin ye shab kaun jaane
giri aur girti rahi barq-e-sozan
bane aur bante rahe aashiyane
sitaron se aage bahut kuchh hai mana
zamin par bhi jine ke hon kuchh bahane
'kalim' aaj kya soch kar ho gae chup
are aa gae yaad kab ke zamane
- Book : Noquush (Pg. B369 E383)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.