bahut thakan badan mein mere safar ki rahi
bahut thakān badan meñ mire safar kī rahī
magar vo shauq kī manzil ki har nagar kī rahī
vo jis pe chal ke sadā paañv zaḳhm zaḳhm hue
na jaane khoj hameñ kyoñ usī Dagar kī rahī
jo merī zaat kī pinhā.iyāñ samajh letī
tamām umr zarūrat usī nazar kī rahī
jab apne aap meñ Duube falak ko chhū aa.e
ki ehtiyāj hameñ ab na bāl-o-par kī rahī
hamīñ se sunnat-e-mansūr ab bhī zinda hai
ki har zamāne ko hājat hamāre sar kī rahī
bilā-sabab to 'karāmat' pe apnī naaz nahīñ
ki chār-dāñg meñ shohrat mire asar kī rahī
bahut thakan badan mein mere safar ki rahi
magar wo shauq ki manzil ki har nagar ki rahi
wo jis pe chal ke sada panw zaKHm zaKHm hue
na jaane khoj hamein kyon usi Dagar ki rahi
jo meri zat ki pinhaiyan samajh leti
tamam umr zarurat usi nazar ki rahi
jab apne aap mein Dube falak ko chhu aae
ki ehtiyaj hamein ab na baal-o-par ki rahi
hamin se sunnat-e-mansur ab bhi zinda hai
ki har zamane ko hajat hamare sar ki rahi
bila-sabab to 'karamat' pe apni naz nahin
ki chaar-dang mein shohrat mere asar ki rahi
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 529)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.