bahut udas hai mah-e-tamam kis ke liye
bahut udaas hai māh-e-tamām kis ke liye
rukī huī hai muñDeroñ pe shaam kis ke liye
bhulā ke ḳhud ko chalo gahrī niiñd sote haiñ
agar kareñ bhī to nīñdeñ harām kis ke liye
ki is dayār meñ kaun aayā hai jo aa.egā
hameñ batāo ki ye ehtimām kis ke liye
unheñ bhī kaash kisī roz ye pata to chale
bane haiñ shauq se ham bhī ġhulām kis ke liye
vo koī aur nahīñ hai to ek baat batā
chhalak rahe haiñ nigāhoñ ke jaam kis ke liye
bahut udas hai mah-e-tamam kis ke liye
ruki hui hai munDeron pe sham kis ke liye
bhula ke KHud ko chalo gahri nind sote hain
agar karen bhi to ninden haram kis ke liye
ki is dayar mein kaun aaya hai jo aaega
hamein batao ki ye ehtimam kis ke liye
unhen bhi kash kisi roz ye pata to chale
bane hain shauq se hum bhi ghulam kis ke liye
wo koi aur nahin hai to ek baat bata
chhalak rahe hain nigahon ke jam kis ke liye
- Book : Shaam Hote hi (Pg. 94)
- Author : Rashid Anwar Rashid
- Publication : Rashid Anwar Rashid (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.