Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bahut wasi’ tha lekin simaT gaya hun main

Zubair Shifai

bahut wasi’ tha lekin simaT gaya hun main

Zubair Shifai

MORE BYZubair Shifai

    bahut vasī’ thā lekin simaT gayā huuñ maiñ

    ba-yak-qalam ka.ī hissoñ meñ baT gayā huuñ maiñ

    mirī bisāt hai ik mauja-e-havā ya.anī

    misāl-e-saf.ha-e-tārīḳh ulaT gayā huuñ maiñ

    samajh rahā hai udhar vo sutūn-e-charḳh-o-zamīñ

    idhar ye haal ki mehvar se haT gayā huuñ maiñ

    tavālat-e-safar-e-dasht yak-qadam Thahrī

    ki phir shurū’ jānib palaT gayā huuñ maiñ

    zarūr ‘ishq meñ āmezish-e-havas hai 'zubair'

    kabhī-kabhār jo ḳhud se lipaT gayā huuñ maiñ

    bahut wasi’ tha lekin simaT gaya hun main

    ba-yak-qalam kai hisson mein baT gaya hun main

    meri bisat hai ek mauja-e-hawa yani

    misal-e-safha-e-tariKH ulaT gaya hun main

    samajh raha hai udhar wo sutun-e-charKH-o-zamin

    idhar ye haal ki mehwar se haT gaya hun main

    tawalat-e-safar-e-dasht yak-qadam Thahri

    ki phir shuru’ ki jaanib palaT gaya hun main

    zarur ‘ishq mein aamezish-e-hawas hai 'zubair'

    kabhi-kabhaar jo KHud se lipaT gaya hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now