baiTha hua tanhai mein ye soch raha tha
baiThā huā tanhā.ī meñ ye soch rahā thā
kal jaane mire kaan meñ kyā us ne kahā thā
lauTā na na.e kal kī ḳhabar le ke abhī tak
uḌ kar vo parinda jo mire ghar se gayā thā
phir us ne kabhī sar ko uThā kar nahīñ dekhā
ma.alūm nahīñ kitnī bulandī se girā thā
ākāsh se dhartī pe jo aaya thā utar ke
sūraj thā sitāra thā farishta thā vo kyā thā
vo pattā shajar se jo uḌā le ga.ī āñdhī
us pate pe 'jāved' mirā naam likhā thā
baiTha hua tanhai mein ye soch raha tha
kal jaane mere kan mein kya us ne kaha tha
lauTa na nae kal ki KHabar le ke abhi tak
uD kar wo parinda jo mere ghar se gaya tha
phir us ne kabhi sar ko uTha kar nahin dekha
malum nahin kitni bulandi se gira tha
aakash se dharti pe jo aaya tha utar ke
suraj tha sitara tha farishta tha wo kya tha
wo patta shajar se jo uDa le gai aandhi
us pate pe 'jawed' mera nam likha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.