baiTha hun ghar banane ko jangal mein aa ke main
baiTha hun ghar banane ko jangal mein aa ke main
Harsh Kumar Bhatnagar
MORE BYHarsh Kumar Bhatnagar
baiThā huuñ ghar banāne ko jangal meñ aa ke maiñ
sayyād ban gayā huuñ nasheman girā ke maiñ
tasvīr khīñch aisī mirā dard bhī dikhe
'izzat baTor lūñgā ye aañsū bahā ke maiñ
kirdār masḳhare kā baḌe shauq se kiyā
sab ko hañsā rahā huuñ udāsī chhupā ke maiñ
mere ḳhudā nasīb meñ kuchh aise zaḳhm de
auqāt bhuul baiThā huuñ duniyā meñ aa ke maiñ
baiTha hun ghar banane ko jangal mein aa ke main
sayyaad ban gaya hun nasheman gira ke main
taswir khinch aisi mera dard bhi dikhe
'izzat baTor lunga ye aansu baha ke main
kirdar masKHare ka baDe shauq se kiya
sab ko hansa raha hun udasi chhupa ke main
mere KHuda nasib mein kuchh aise zaKHm de
auqat bhul baiTha hun duniya mein aa ke main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.