baiTha hun sar-e-rah tamasha-e-rawan hai
baiThā huuñ sar-e-rāh tamāshā-e-ravāñ hai
simTā huā piirī kī nigāhoñ meñ jahāñ hai
paayā tujhe jis ne tujhe har chiiz meñ paayā
paane kī yahī ek dalīl ek nishāñ hai
har vus.at-e-kaunain hai ik aañkh ke til meñ
ik harf meñ kun ke baham asbāb-e-fakāñ hai
ishrāk meñ aġhrāq meñ haiñ ān-o-davām ek
hai munjamid ik bahr to ik sarv ravāñ hai
urdu-e-muallā jise kahtā hai zamāna
vo virsa-e-aslāf hai vo merī zabāñ hai
us shaḳhs kī muTThī meñ hai sad-nau-e-karāmāt
'dīvāna' ki hai ḳhanda-jabīñ azb-e-bayāñ hai
baiTha hun sar-e-rah tamasha-e-rawan hai
simTa hua piri ki nigahon mein jahan hai
paya tujhe jis ne tujhe har chiz mein paya
pane ki yahi ek dalil ek nishan hai
har wusat-e-kaunain hai ek aankh ke til mein
ek harf mein kun ke baham asbab-e-fakan hai
ishrak mein aghraq mein hain aan-o-dawam ek
hai munjamid ek bahr to ek sarw rawan hai
urdu-e-mualla jise kahta hai zamana
wo wirsa-e-aslaf hai wo meri zaban hai
us shaKHs ki muTThi mein hai sad-nau-e-karamat
'diwana' ki hai KHanda-jabin azb-e-bayan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.