baiThe baiThe jo tabiat meri ghabrai hai
baiThe baiThe jo tabī.at mirī ghabrā.ī hai
aur shiddat se mujhe yaad tirī aa.ī hai
is se bichhḌuñgī to zinda nahīñ rah pā.ūñgī
merī mūnis mirī hamrāz ye tanhā.ī hai
justujū ab hai masarrat kī na to ġham kī talāsh
be-hisī mujh ko kahāñ le ke chalī aa.ī hai
Duub kar un meñ na ubhrā hai na ubhregā koī
jhiil sī āñkhoñ meñ pātāl sī gahrā.ī hai
mujh meñ har samt ziyā-bār haiñ un kī yādeñ
chāñdnī aaj mire dil meñ utar aa.ī hai
mujh se vo raah meñ katrā ke nikal jaane lage
maiñ ne bhī un se na milne kī qasam khaa.ī hai
shab-e-afsāna munavvar hai na ab shām-e-ġhazal
anjuman hai na kahīñ anjuman-ārā.ī hai
baiThe baiThe jo tabiat meri ghabrai hai
aur shiddat se mujhe yaad teri aai hai
is se bichhDungi to zinda nahin rah paungi
meri munis meri hamraaz ye tanhai hai
justuju ab hai masarrat ki na to gham ki talash
be-hisi mujh ko kahan le ke chali aai hai
Dub kar un mein na ubhra hai na ubhrega koi
jhil si aankhon mein patal si gahrai hai
mujh mein har samt ziya-bar hain un ki yaaden
chandni aaj mere dil mein utar aai hai
mujh se wo rah mein katra ke nikal jaane lage
main ne bhi un se na milne ki qasam khai hai
shab-e-afsana munawwar hai na ab sham-e-ghazal
anjuman hai na kahin anjuman-arai hai
- Book : Tishnagi (Pg. 89)
- Author : Minu Bakhshi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.