baiThe-biThae jab bhi koi yaad aa gaya
baiThe-biThā.e jab bhī koī yaad aa gayā
be-iḳhtiyār ashk hamāre nikal ga.e
be-tābiyāñ na pūchh shab-e-intizār kī
āñkhoñ meñ aa ke chāñd sitāre pighal ga.e
vo mujh ko dekh kar jo kabhī muskurā diye
duniyā-e-rang-o-bū meñ mirī phuul khil ga.e
vo kashtiyāñ ki jin ko kināroñ pe naaz thā
un kashtiyoñ ko aaj kināre nigal ga.e
apnī fareb-ḳhurda nigāheñ jidhar uThīñ
nazreñ churā churā ke nazāre nikal ga.e
baiThe-biThae jab bhi koi yaad aa gaya
be-iKHtiyar ashk hamare nikal gae
be-tabiyan na puchh shab-e-intizar ki
aankhon mein aa ke chand sitare pighal gae
wo mujh ko dekh kar jo kabhi muskura diye
duniya-e-rang-o-bu mein meri phul khil gae
wo kashtiyan ki jin ko kinaron pe naz tha
un kashtiyon ko aaj kinare nigal gae
apni fareb-KHurda nigahen jidhar uThin
nazren chura chura ke nazare nikal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.