baiThe hain hum mataa-e-mohabbat liye hue
baiThe haiñ ham matā.a-e-mohabbat liye hue
pahlū meñ tere dard kī daulat liye hue
dāman hai tār-tār garebāñ hai chaak chaak
ham haiñ junūn-e-ishq kī daulat liye hue
uThtī hai baar baar sar-e-mahfil-e-tarab
us shoḳh kī nigāh sharārat liye hue
barbād kar ke chhoḌegī daftar gunāh ke
vo aañkh hai jo ashk-e-nadāmat liye hue
mujh ko bhalā nazar se girā.egā kyā jahāñ
maiñ huuñ tumhāre ishq kī azmat liye hue
baiThā hai 'mauj' bazm meñ is kā bhī kar ḳhayāl
pahlū meñ tere dard-e-mohabbat liye hue
baiThe hain hum mataa-e-mohabbat liye hue
pahlu mein tere dard ki daulat liye hue
daman hai tar-tar gareban hai chaak chaak
hum hain junun-e-ishq ki daulat liye hue
uThti hai bar bar sar-e-mahfil-e-tarab
us shoKH ki nigah shararat liye hue
barbaad kar ke chhoDegi daftar gunah ke
wo aankh hai jo ashk-e-nadamat liye hue
mujh ko bhala nazar se giraega kya jahan
main hun tumhaare ishq ki azmat liye hue
baiTha hai 'mauj' bazm mein is ka bhi kar KHayal
pahlu mein tere dard-e-mohabbat liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.