baiThe hain teri bazm mein ek ajnabi se hum
baiThe haiñ terī bazm meñ ik ajnabī se ham
ai dost baaz aa.e tirī dostī se ham
ranj-o-malāl-e-yās-o-alam karb-o-iztirāb
kyā kyā na le ke aa.e haiñ terī galī se ham
ye aur baat hai ki mohabbat hai ham se duur
rakhte nahīñ haiñ dil meñ kudūrat kisī se ham
bal pech pai-ba-pai to shikan moḌ moḌ par
guzre haiñ maut hī kī tarah zindagī se ham
sunñe ko sun to lete haiñ ham har kisī kī baat
kahte nahīñ haiñ baat kisī kī kisī se ham
andāz aur bhī haiñ mulāqāt ke magar
milte haiñ aadmī kī tarah aadmī se ham
'bismil' hamārī samt bhī ik jaam to baḌhe
baiThe haiñ terī bazm meñ kis bekasī se ham
baiThe hain teri bazm mein ek ajnabi se hum
ai dost baz aae teri dosti se hum
ranj-o-malal-e-yas-o-alam karb-o-iztirab
kya kya na le ke aae hain teri gali se hum
ye aur baat hai ki mohabbat hai hum se dur
rakhte nahin hain dil mein kudurat kisi se hum
bal pech pai-ba-pai to shikan moD moD par
guzre hain maut hi ki tarah zindagi se hum
sunne ko sun to lete hain hum har kisi ki baat
kahte nahin hain baat kisi ki kisi se hum
andaz aur bhi hain mulaqat ke magar
milte hain aadmi ki tarah aadmi se hum
'bismil' hamari samt bhi ek jam to baDhe
baiThe hain teri bazm mein kis bekasi se hum
- Book : SAAZ-O-NAVA (Pg. 82)
- Publication : Raghu Nath suhai ummid
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.