baja ke usne riyazat ki intiha kar di
bajā ke us ne riyāzat kī intihā kar dī
magar ḳhayāl kī lau sher se judā kar dī
pas-e-hurūf koī dil kī vārdāt na thī
so ḳhush-ḳhatī se hī tahrīr ḳhushnumā kar dī
na dekhī us ne kabhī lauh-e-dil pe abjad-e-ishq
to chashm-o-āri-o-lab se ġhazal bapā kar dī
koī bhī nuqta-e-ḳhat zindagī pe ban na sakā
raqam kahīñ se ye tamsīl-e-dilrubā kar dī
ye us ke harf haiñ āvārgān-e-shahr-e-suḳhan
mire ḳhayāl ne us ko zamīñ atā kar dī
baja ke us ne riyazat ki intiha kar di
magar KHayal ki lau sher se juda kar di
pas-e-huruf koi dil ki wardat na thi
so KHush-KHati se hi tahrir KHushnuma kar di
na dekhi us ne kabhi lauh-e-dil pe abjad-e-ishq
to chashm-o-ari-o-lab se ghazal bapa kar di
koi bhi nuqta-e-KHat zindagi pe ban na saka
raqam kahin se ye tamsil-e-dilruba kar di
ye us ke harf hain aawargan-e-shahr-e-suKHan
mere KHayal ne us ko zamin ata kar di
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.