baja ki kashti hai para para thapeDe tufan ke kha raha hun
baja ki kashti hai para para thapeDe tufan ke kha raha hun
Arif Abdul Mateen
MORE BYArif Abdul Mateen
bajā ki kashtī hai paara paara thapeḌe tūfāñ ke khā rahā huuñ
magar ye e'zāz kam nahīñ hai ki aap hī apnā nāḳhudā huuñ
kabhī to maiñ ne dhunak diye haiñ pahāḌ bhī apne rāste ke
kabhī maiñ ḳhud apne rāste kī muhīb dīvāreñ ho gayā huuñ
mujhe hai shab-ḳhūñ kī fikr lekin unheñ halākat kā Dar nahīñ hai
mire qabīle ke log sote haiñ aur shab-bhar maiñ jāgtā huuñ
mirī haqīqat tazād kī is girah ke khulne pe munhasir hai
maiñ vaqt kā huuñ jalīl ḳhusrav maiñ ahd kā be-navā gadā huuñ
ye baat alag hai ki ġhuncha ġhuncha mire chalan se chaTak rahā hai
sabā kā jhoñkā huuñ gulsitāñ se maiñ be-sadā sā guzar rahā huuñ
jahāñ kā sheva sitam thā lekin mujhe vafā se rahī hai nisbat
jahāñ ġhalat thā ki maiñ ġhalat thā ye baat rah rah ke sochtā huuñ
mirī jabīñ kā chamaktā sūraj mire jilau meñ sadā rahā hai
maiñ raat kī zulmatoñ ko 'ārif' azal se lalkārtā rahā huuñ
baja ki kashti hai para para thapeDe tufan ke kha raha hun
magar ye e'zaz kam nahin hai ki aap hi apna naKHuda hun
kabhi to main ne dhunak diye hain pahaD bhi apne raste ke
kabhi main KHud apne raste ki muhib diwaren ho gaya hun
mujhe hai shab-KHun ki fikr lekin unhen halakat ka Dar nahin hai
mere qabile ke log sote hain aur shab-bhar main jagta hun
meri haqiqat tazad ki is girah ke khulne pe munhasir hai
main waqt ka hun jalil KHusraw main ahd ka be-nawa gada hun
ye baat alag hai ki ghuncha ghuncha mere chalan se chaTak raha hai
saba ka jhonka hun gulsitan se main be-sada sa guzar raha hun
jahan ka shewa sitam tha lekin mujhe wafa se rahi hai nisbat
jahan ghalat tha ki main ghalat tha ye baat rah rah ke sochta hun
meri jabin ka chamakta suraj mere jilau mein sada raha hai
main raat ki zulmaton ko 'arif' azal se lalkarta raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.