baja raha tha dil-jala rabab tez dhup mein
bajā rahā thā dil-jalā rabāb tez dhuup meñ
sulag rahā thā shāḳh par gulāb tez dhuup meñ
kabhī to raat kaaT lī kisī maqām-e-sard par
kabhī sahā hai dasht kā azaab tez dhuup meñ
kabhī ke raakh ho ga.e kabhī ke jal mare sabhī
bune ga.e saḌak pe chand ḳhvāb tez dhuup meñ
mujhe hañsā rulā ga.ī mujhe bahut sikhā ga.ī
paḌhā.ī jo hayāt ne kitāb tez dhuup meñ
hai jism par likhā huā ayaañ hai mere ruḳh se bhī
kaTā safar mirā sabhī janāb tez dhuup meñ
yahīñ guzār leñ pahar kahīñ na jā.iye abhī
pighal na jaa.e aap kā shabāb tez dhuup meñ
sabhī ko hai fanā yahāñ jo maiñ gayā to kyā huā
Tikā hai kitnī der tak habāb tez dhuup meñ
baja raha tha dil-jala rabab tez dhup mein
sulag raha tha shaKH par gulab tez dhup mein
kabhi to raat kaT li kisi maqam-e-sard par
kabhi saha hai dasht ka azab tez dhup mein
kabhi ke rakh ho gae kabhi ke jal mare sabhi
bune gae saDak pe chand KHwab tez dhup mein
mujhe hansa rula gai mujhe bahut sikha gai
paDhai jo hayat ne kitab tez dhup mein
hai jism par likha hua ayan hai mere ruKH se bhi
kaTa safar mera sabhi janab tez dhup mein
yahin guzar len pahar kahin na jaiye abhi
pighal na jae aap ka shabab tez dhup mein
sabhi ko hai fana yahan jo main gaya to kya hua
Tika hai kitni der tak habab tez dhup mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.