baja ye shahr zara bhi to dekha-bhaala nahin
bajā ye shahr zarā bhī to dekhā-bhālā nahīñ
magar tū hausla rakh maiñ bhaTakne vaalā nahīñ
vo dekh raushniyoñ se bharā hai pas-manzar
malūl kyoñ hai agar sāmne ujālā nahīñ
kahāñ kahāñ nahīñ TuuTā hai saañs se rishta
kahāñ kahāñ tire anfās ne sañbhālā nahīñ
tū mujh ko dekh ke hairān is qadar mat ho
hazāroñ haiñ mire jaise maiñ kuchh nirālā nahīñ
maiñ raat ġham kā talabgār thā magar us ne
ba-juz ḳhushī mire kaase meñ kuchh bhī Daalā nahīñ
ik ek harf mirā intisāb tere naam
balā se hāshiye meñ gar kahīñ havāla nahīñ
baja ye shahr zara bhi to dekha-bhaala nahin
magar tu hausla rakh main bhaTakne wala nahin
wo dekh raushniyon se bhara hai pas-manzar
malul kyon hai agar samne ujala nahin
kahan kahan nahin TuTa hai sans se rishta
kahan kahan tere anfas ne sanbhaala nahin
tu mujh ko dekh ke hairan is qadar mat ho
hazaron hain mere jaise main kuchh nirala nahin
main raat gham ka talabgar tha magar us ne
ba-juz KHushi mere kase mein kuchh bhi Dala nahin
ek ek harf mera intisab tere nam
bala se hashiye mein gar kahin hawala nahin
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 41)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.