baKHsha gaya hai dil ko wo saman-e-agahi
baḳhshā gayā hai dil ko vo sāmān-e-āgahī
hairat-kada hai dahr ba-unvān-e-āgahī
aa.ī bahār jaib-o-garebāñ pe haath hai
ho jaa.e taar taar na dāmān-e-āgahī
ik vahm hai ki paañv meñ Daale hai beḌiyāñ
ik azm hai ki kuchh nahīñ zindān-e-āgahī
nai mausam-e-bahār hai nai bād-e-kū-e-yār
mahkā gayā hai kaun shabistān-e-āgahī
dil munharif ḳhayāl-e-ġhalat pur-havas nigāh
dushman bane hue haiñ bahī-ḳhvān-e-āgahī
īmān muzmahil hai aqīdat lahū lahū
ho jaa.e paash paash na īqān-e-āgahī
tūfān-e-tund-o-tez sahī dekhte raho
bujhne na paa.e sham.a farozān-e-āgahī
baKHsha gaya hai dil ko wo saman-e-agahi
hairat-kada hai dahr ba-unwan-e-agahi
aai bahaar jaib-o-gareban pe hath hai
ho jae tar tar na daman-e-agahi
ek wahm hai ki panw mein Dale hai beDiyan
ek azm hai ki kuchh nahin zindan-e-agahi
nai mausam-e-bahaar hai nai baad-e-ku-e-yar
mahka gaya hai kaun shabistan-e-agahi
dil munharif KHayal-e-ghalat pur-hawas nigah
dushman bane hue hain bahi-KHwan-e-agahi
iman muzmahil hai aqidat lahu lahu
ho jae pash pash na iqan-e-agahi
tufan-e-tund-o-tez sahi dekhte raho
bujhne na pae shama farozan-e-agahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.