baKHsha mujhe junun to giran-bar dekh kar
baḳhshā mujhe junūñ to girāñ-bār dekh kar
detā hai baada zarf-e-qadah-ḳhvār dekh kar
kyā bechte matā.a-e-girāñ-māya-e-hunar
be-zauqī-e-nigāh-e-ḳharīdār dekh kar
taz.īñ tarāz-e-husn ta.ashshuq talab vafā
dil sard hai ye garmī-e-bāzār dekh kar
hāl-e-dil aa hī jaatā hai aksar zabān par
dard-o-sulūk-e-mūnis-o-ġham-ḳhvār dekh kar
nazroñ meñ hai qayāmat-e-kubrā kā sā samāñ
tāza-ba-tāza jang ke auzār dekh kar
baazī pe koī daao lagāne se jī bharā
duniyā kī jiit dekh kar aur haar dekh kar
kis tarah inqalāb ko kahte ḳhush-āmdīd
apnoñ ko apnī hī pe sharar-bār dekh kar
mazmūn to pasand thā achchhā lagā na sher
saqm-e-zabān-o-pastī-e-iz.hār dekh kar
kahte haiñ sab ki aisā koī shaḳhs hī na thā
'dīvāna'-e-kamāl kī aqdār dekh kar
baKHsha mujhe junun to giran-bar dekh kar
deta hai baada zarf-e-qadah-KHwar dekh kar
kya bechte mataa-e-giran-maya-e-hunar
be-zauqi-e-nigah-e-KHaridar dekh kar
tazin taraaz-e-husn tashshuq talab wafa
dil sard hai ye garmi-e-bazar dekh kar
haal-e-dil aa hi jata hai aksar zaban par
dard-o-suluk-e-munis-o-gham-KHwar dekh kar
nazron mein hai qayamat-e-kubra ka sa saman
taza-ba-taza jang ke auzar dekh kar
bazi pe koi dao lagane se ji bhara
duniya ki jit dekh kar aur haar dekh kar
kis tarah inqalab ko kahte KHush-amdid
apnon ko apni hi pe sharar-bar dekh kar
mazmun to pasand tha achchha laga na sher
saqm-e-zaban-o-pasti-e-izhaar dekh kar
kahte hain sab ki aisa koi shaKHs hi na tha
'diwana'-e-kamal ki aqdar dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.