baKHshish ke liye apni itna hi to saman hai
baḳhshish ke liye apnī itnā hī to sāmāñ hai
bhīgī huī palkeñ haiñ bhīgā huā dāmāñ hai
ulfat hī zamāne meñ taskīn kā sāmāñ hai
ik lafz mohabbat hī har dard kā darmāñ hai
ye ziist ḳhudā jaane kis baat pe nāzāñ hai
miTTī ke gharauñde meñ kuchh der kī mehmāñ hai
sachchoñ kī agar dushman duniyā hai to hone do
sach bolne vāloñ kā allāh nigahbāñ hai
kyā jāniye chingārī kab koī bhaḌak uTThe
bārūd ke Dheroñ par baiThā huā insāñ hai
zāhir se kisī shai ke khaao na 'sadā' dhokā
sho'le meñ bhī shabnam hai qatre meñ bhī tūfāñ hai
baKHshish ke liye apni itna hi to saman hai
bhigi hui palken hain bhiga hua daman hai
ulfat hi zamane mein taskin ka saman hai
ek lafz mohabbat hi har dard ka darman hai
ye zist KHuda jaane kis baat pe nazan hai
miTTi ke gharaunde mein kuchh der ki mehman hai
sachchon ki agar dushman duniya hai to hone do
sach bolne walon ka allah nigahban hai
kya jaaniye chingari kab koi bhaDak uTThe
barud ke Dheron par baiTha hua insan hai
zahir se kisi shai ke khao na 'sada' dhoka
sho'le mein bhi shabnam hai qatre mein bhi tufan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.