Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baKHt-bargashta hain aise jo hawas kar dekhen

Shad Lakhnavi

baKHt-bargashta hain aise jo hawas kar dekhen

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    baḳht-bargashta haiñ aise jo havas kar dekheñ

    ḳhaak haath aa.e agar ḳhvāb meñ bhī zar dekheñ

    bad-nasībī yahī kahtī hai jahāñ zar dekheñ

    idhar aa.iye aap aur koī ghar dekheñ

    har-nafas kuuch hai āñkhoñ meñ hai dam misl-e-habāb

    hashr par va.ada-e-dīdār hai kyūñkar dekheñ

    ham vo mai-ḳhvār haiñ juz bāda-kashī raah na de

    istiḳhāra bhī agar tauba-e-mai par dekheñ

    putliyāñ be-ajal āñkhoñ mirī phir jaa.eñ

    mardum-e-chashm ko de kar jo vo chakkar dekheñ

    dekhnā hai jo unheñ merī siyah-kārī-e-dil

    kisī shīshe meñ siyāhī ko kaho bhar dekheñ

    be-qarāroñ meñ vo bekas haiñ ki ro.e na koī

    ham taḌap kar bhī jo paare tarah mar dekheñ

    sāda-rūyoñ se ye qaul-e-dil-e-be-ishq hai 'shād'

    aap ai ā.ina-rū aur koī ghar dekheñ

    baKHt-bargashta hain aise jo hawas kar dekhen

    KHak hath aae agar KHwab mein bhi zar dekhen

    bad-nasibi yahi kahti hai jahan zar dekhen

    idhar aaiye aap aur koi ghar dekhen

    har-nafas kuch hai aankhon mein hai dam misl-e-habab

    hashr par wada-e-didar hai kyunkar dekhen

    hum wo mai-KHwar hain juz baada-kashi rah na de

    istiKHara bhi agar tauba-e-mai par dekhen

    putliyan be-ajal aankhon ki meri phir jaen

    mardum-e-chashm ko de kar jo wo chakkar dekhen

    dekhna hai jo unhen meri siyah-kari-e-dil

    kisi shishe mein siyahi ko kaho bhar dekhen

    be-qararon mein wo bekas hain ki roe na koi

    hum taDap kar bhi jo pare ki tarah mar dekhen

    sada-ruyon se ye qaul-e-dil-e-be-ishq hai 'shad'

    aap ai aaina-ru aur koi ghar dekhen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now