bala-kashon pe kahan pyas ka azab na tha
balā-kashoñ pe kahāñ pyaas kā azaab na thā
vahāñ pe manā thā paanī jahāñ sarāb na thā
shikast-e-ḳhvāb kā mātam thā chaar sū lekin
tamām shahr kī āñkhoñ meñ koī ḳhvāb na thā
na āstīnoñ pe miltā na ḳhāk-e-maqtal par
ḳhudā kā shukr hamārā lahū sharāb na thā
idhar gunāh udhar hasrat-e-gunāh kā bojh
fishār-e-qabr kī tamsīl thā shabāb na thā
bikā thā zehn o dil o jaañ samet manDī meñ
alag zamīr ke kyā daam the hisāb na thā
ba-tarz-e-ḳhās thī maqsūd mujh ko shohrat-e-ām
laboñ pe thā mire siine meñ inqalāb na thā
zamāna-sāz thā 'qaisī' na zar-shanās magar
aziiz kaise thā jo shaḳhs kāmyāb na thā
bala-kashon pe kahan pyas ka azab na tha
wahan pe mana tha pani jahan sarab na tha
shikast-e-KHwab ka matam tha chaar su lekin
tamam shahr ki aankhon mein koi KHwab na tha
na aastinon pe milta na KHak-e-maqtal par
KHuda ka shukr hamara lahu sharab na tha
idhar gunah udhar hasrat-e-gunah ka bojh
fishaar-e-qabr ki tamsil tha shabab na tha
bika tha zehn o dil o jaan samet manDi mein
alag zamir ke kya dam the hisab na tha
ba-tarz-e-KHas thi maqsud mujh ko shohrat-e-am
labon pe tha mere sine mein inqalab na tha
zamana-saz tha 'qaisi' na zar-shanas magar
aziz kaise tha jo shaKHs kaamyab na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.