bala se apni ab aati rahe bahaar kabhi
balā se apnī ab aatī rahe bahār kabhī
kalī pa sūkhī na aa.egā phir nikhār kabhī
hazār barq gire laakh āshiyāne jaleñ
ruke na gulshan-e-hastī kā kārobār kabhī
har ik nigāh nihāre na.e shagūfoñ ko
sune na koī gul-e-zard kī pukār kabhī
bachegā aañkh se gulchīñ kī kab talak āḳhir
nahīñ hai phuul kī hastī kā e'tibār kabhī
nizām-e-bāġh ab ai bāġhbāñ badal kuchh to
kalī ko phuul ko de kuchh to iḳhtiyār kabhī
samajh ke sūkhā huā phuul jis ko pheñk diyā
thā vo 'sadā' bhī kisī ke gale kā haar kabhī
bala se apni ab aati rahe bahaar kabhi
kali pa sukhi na aaega phir nikhaar kabhi
hazar barq gire lakh aashiyane jalen
ruke na gulshan-e-hasti ka karobar kabhi
har ek nigah nihaare nae shagufon ko
sune na koi gul-e-zard ki pukar kabhi
bachega aankh se gulchin ki kab talak aaKHir
nahin hai phul ki hasti ka e'tibar kabhi
nizam-e-bagh ab ai baghban badal kuchh to
kali ko phul ko de kuchh to iKHtiyar kabhi
samajh ke sukha hua phul jis ko phenk diya
tha wo 'sada' bhi kisi ke gale ka haar kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.