bala se ho ki ilaj-e-gham-e-hayat na ho
balā se ho ki ilāj-e-ġham-e-hayāt na ho
mirī nazar meñ magar sirf merī zaat na ho
nazar meñ din ke añdhere raheñ to sham.a-garo
hayāt-e-sham.a-e-farozāñ kī ek raat na ho
yahī mizāj hamesha se hai mohabbat kā
maiñ haar jā.ūñ ye baazī kisī ko maat na ho
jahāñ ḳhilāf hai lekin ye ġhair mumkin hai
tabāhiyoñ meñ hamārī hamārā haat na ho
maza to jab hai koī mujh se multafit ho magar
mirī nazar meñ koī vaj.h-e-iltifāt na ho
hamārī baat kī tardīd kyoñ nahīñ karte
jo chāhte haiñ zamāna hamāre saath na ho
ham apnī sat.h se gir jaa.eñ kis qadar 'nazmī'
hamāre paas agar ġham kī kā.enāt na ho
bala se ho ki ilaj-e-gham-e-hayat na ho
meri nazar mein magar sirf meri zat na ho
nazar mein din ke andhere rahen to shama-garo
hayat-e-shama-e-farozan ki ek raat na ho
yahi mizaj hamesha se hai mohabbat ka
main haar jaun ye bazi kisi ko mat na ho
jahan KHilaf hai lekin ye ghair mumkin hai
tabahiyon mein hamari hamara hat na ho
maza to jab hai koi mujh se multafit ho magar
meri nazar mein koi wajh-e-iltifat na ho
hamari baat ki tardid kyon nahin karte
jo chahte hain zamana hamare sath na ho
hum apni sath se gir jaen kis qadar 'nazmi'
hamare pas agar gham ki kaenat na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.