balaen lijiye ab barishon ki
balā.eñ lījiye ab bārishoñ kī
jinhoñ ne laaj rakkhī mausamoñ kī
badan kī zardiyāñ miTne lagī haiñ
zarūrat hai ġhamoñ kī āñdhiyoñ kī
agar ghaTtī rahīñ raushan lakīreñ
siyāhī phail jā.egī shaboñ kī
mohabbat kār-farmā ho rahī hai
mileñgī lazzateñ ab ranjishoñ kī
akelī zaat ghabrāne lagī hai
talab baḌhne lagī hai sāthiyoñ kī
libās-e-jāñ shikasta ho gayā hai
ināyat hai qarībī dostoñ kī
balaen lijiye ab barishon ki
jinhon ne laj rakkhi mausamon ki
badan ki zardiyan miTne lagi hain
zarurat hai ghamon ki aandhiyon ki
agar ghaTti rahin raushan lakiren
siyahi phail jaegi shabon ki
mohabbat kar-farma ho rahi hai
milengi lazzaten ab ranjishon ki
akeli zat ghabrane lagi hai
talab baDhne lagi hai sathiyon ki
libas-e-jaan shikasta ho gaya hai
inayat hai qaribi doston ki
- Book : Abr, Hawa aur Barish (Pg. 71)
- Author : Niyaz Hussain Lakhvira
- Publication : Mavaraa Publications (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.