ban gai dam par yahan abru-e-jaanan dekh kar
ban ga.ī dam par yahāñ abru-e-jānāñ dekh kar
chauñktā huuñ raat phir ḳhvāb-e-pareshāñ dekh kar
maiñ to qaa.il ho gayā huuñ rabt-e-husn-o-ishq kā
vo bhī ro dete haiñ aksar mujh ko giryāñ dekh kar
ḳhāksārān-e-mohabbat se koī sīkhe adab
jhuk ga.e sajde meñ naqsh-e-pā-e-jānāñ dekh kar
vo abhī pahlū meñ haiñ ye ashk-bārī kyā zarūr
kuchh zarā mauqa mahal ai chashm-e-giryāñ dekh kar
ḳhanda-e-gul par mujhe ab kis tarah ronā na aa.e
hañste haiñ vo baaġh meñ bulbul ko nālāñ dekh kar
is qadar josh-e-junūñ meñ ḳhvāhish-e-īzā mujhe
talve khujlāne lage ḳhār-e-muġhīlāñ dekh kar
tauba karne ko to kar lī lekin is ko kyā karūñ
Dagmagā jaatī hai niyyat abr-e-bārāñ dekh kar
vaqt-e-bārish abr meñ bijlī chamaktī hai zarūr
kyoñ na hañs de vo sitam-gar mujh ko giryāñ dekh kar
ham qayāmat ko bhalā kab mānte lekin 'fahīm'
aaj qaa.il ho ga.e raftār-e-jānāñ dekh kar
ban gai dam par yahan abru-e-jaanan dekh kar
chaunkta hun raat phir KHwab-e-pareshan dekh kar
main to qail ho gaya hun rabt-e-husn-o-ishq ka
wo bhi ro dete hain aksar mujh ko giryan dekh kar
KHaksaran-e-mohabbat se koi sikhe adab
jhuk gae sajde mein naqsh-e-pa-e-jaanan dekh kar
wo abhi pahlu mein hain ye ashk-bari kya zarur
kuchh zara mauqa mahal ai chashm-e-giryan dekh kar
KHanda-e-gul par mujhe ab kis tarah rona na aae
hanste hain wo bagh mein bulbul ko nalan dekh kar
is qadar josh-e-junun mein KHwahish-e-iza mujhe
talwe khujlane lage KHar-e-mughilan dekh kar
tauba karne ko to kar li lekin is ko kya karun
Dagmaga jati hai niyyat abr-e-baran dekh kar
waqt-e-barish abr mein bijli chamakti hai zarur
kyon na hans de wo sitam-gar mujh ko giryan dekh kar
hum qayamat ko bhala kab mante lekin 'fahim'
aaj qail ho gae raftar-e-jaanan dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.