ban gain mahjuriyan aazar-e-jaan kis se kahen
ban ga.iiñ mahjūriyāñ āzār-e-jāñ kis se kaheñ
ham dil-e-betāb kī betābiyāñ kis se kaheñ
aah sāmān-e-sukūn-e-zindagī mumkin nahīñ
ho ga.e dushman zamīn-o-āsmāñ kis se kaheñ
zindagī kī bazm ahl-e-dard se ḳhālī huī
dard meñ Duubī huī ye dāstāñ kis se kaheñ
gardishoñ ne luuT lī yaksar matā-e-zindagī
bāġhbāñ ne noch pheñkā āshiyāñ kis se kaheñ
zindagī kā lamha lamha sad masā.ib dar-baġhal
har ghaḌī hai ek daur-e-imtihāñ kis se kaheñ
gardisheñ nākāmiyāñ mahrūmiyāñ māyūsiyāñ
ho ga.ī hai zindagī bār-e-garāñ kis se kaheñ
kaun dekhe husn kī paiham sitam-ījādiyāñ
āshiqī kī bandish-e-āh-o-fuġhāñ kis se kaheñ
hijr kī kaifiyyatoñ se hai kisī ko kyā ġharaz
ham yahāñ par muztarib haiñ tum vahāñ kis se kaheñ
sunñe vāloñ se huā mafqūd sunñe kā mazāq
gulsitān-e-ishq kī barbādiyāñ kis se kaheñ
chappa-chappa ahl-e-dil ke vāste hai ḳhār-zār
zarra-zarra āshiqoñ se bad-gumāñ kis se kaheñ
dil kī bāteñ lab par aa.eñ bhī to suntā kaun hai
uTh ga.e sab ham-ḳhayāl-o-ham-zabāñ kis se kaheñ
yaar jab aġhyār ho jaa.eñ to kyā lutf-e-suḳhan
mehrbāñ ho jaa.eñ jab nā-mehrbāñ kis se kaheñ
dil ke armāñ rafta-rafta 'nāmī'-e-andoh-gīñ
jā rahe haiñ kārvāñ-dar-kārvāñ kis se kaheñ
ban gain mahjuriyan aazar-e-jaan kis se kahen
hum dil-e-betab ki betabiyan kis se kahen
aah saman-e-sukun-e-zindagi mumkin nahin
ho gae dushman zamin-o-asman kis se kahen
zindagi ki bazm ahl-e-dard se KHali hui
dard mein Dubi hui ye dastan kis se kahen
gardishon ne luT li yaksar mata-e-zindagi
baghban ne noch phenka aashiyan kis se kahen
zindagi ka lamha lamha sad masaib dar-baghal
har ghaDi hai ek daur-e-imtihan kis se kahen
gardishen nakaamiyan mahrumiyan mayusiyan
ho gai hai zindagi bar-e-garan kis se kahen
kaun dekhe husn ki paiham sitam-ijadiyan
aashiqi ki bandish-e-ah-o-fughan kis se kahen
hijr ki kaifiyyaton se hai kisi ko kya gharaz
hum yahan par muztarib hain tum wahan kis se kahen
sunne walon se hua mafqud sunne ka mazaq
gulsitan-e-ishq ki barbaadiyan kis se kahen
chappa-chappa ahl-e-dil ke waste hai KHar-zar
zarra-zarra aashiqon se bad-guman kis se kahen
dil ki baaten lab par aaen bhi to sunta kaun hai
uTh gae sab ham-KHayal-o-ham-zaban kis se kahen
yar jab aghyar ho jaen to kya lutf-e-suKHan
mehrban ho jaen jab na-mehrban kis se kahen
dil ke arman rafta-rafta 'nami'-e-andoh-gin
ja rahe hain karwan-dar-karwan kis se kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.