ban gaya dil agar bayan na hua
ban gayā dil agar bayāñ na huā
ġham bahar-hāl rā.egāñ na huā
dīdanī hai bahār manzil kī
aaj manzil pe kārvāñ na huā
tū ne sayyād kitnī mehnat kī
ye qafas phir bhī āshiyāñ na huā
nazreñ afsāna vo sunā ke rahīñ
jo zabāñ se kabhī bayāñ na huā
maiñ ne kī hai shikastagī manzūr
maiñ kabhī gard-e-kārvāñ na huā
pūchhte haiñ vo dāstān-e-firāq
haa.e vo ġham jo dāstāñ na huā
barq lahrā rahī hai gulshan meñ
aaj hī merā āshiyāñ na huā
maiñ ne apnī taraf bhī dekhā thā
ḳhair guzrī vo bad-gumāñ na huā
kab vo āmāda-e-sitam na hue
kab 'sa.īd' apnā imtihāñ na huā
ban gaya dil agar bayan na hua
gham bahar-haal raegan na hua
didani hai bahaar manzil ki
aaj manzil pe karwan na hua
tu ne sayyaad kitni mehnat ki
ye qafas phir bhi aashiyan na hua
nazren afsana wo suna ke rahin
jo zaban se kabhi bayan na hua
main ne ki hai shikastagi manzur
main kabhi gard-e-karwan na hua
puchhte hain wo dastan-e-firaq
hae wo gham jo dastan na hua
barq lahra rahi hai gulshan mein
aaj hi mera aashiyan na hua
main ne apni taraf bhi dekha tha
KHair guzri wo bad-guman na hua
kab wo aamada-e-sitam na hue
kab 'said' apna imtihan na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.