ban kar jo koi samne aata hai aaina
ban kar jo koī sāmne aatā hai aa.ina
ḳheme meñ dil ke aa ke lagātā hai aa.ina
vo kaun hai ye mujh se kabhī pūchhtā nahīñ
maiñ kaun huuñ ye mujh ko batātā hai ā.īna
is aks ke bar-aks koī aks hai kahīñ
kyoñ aks ko bar-aks dikhātā hai aa.ina
ḳhud ko sajā.e jaate haiñ vo aa.ine ko dekh
jalvoñ se un ke ḳhud ko sajātā hai aa.ina
ḳhud aa.ine pe un kī Thahartī nahīñ nazar
kaise phir un se aañkh milātā hai aa.ina
ye merā aks hai to magar ajnabī sā hai
kyoñ kar mujhe mujhī sī chhupātā hai aa.ina
kab dil ke aa.ine meñ khilā karte haiñ gulāb
kab aa.ine meñ phuul khilātā hai aa.ina
āveza dekhte haiñ vo jhuk kar qarīb se
yā un ko koī raaz batātā hai aa.ina
jab merā aks mujh se mumāsil nahīñ rahā
kyoñ merā aks mujh ko dikhātā hai aa.ina
is aa.ine meñ aks kisī kā hai rāt-din
'ahmad' ye ishq dil ko banātā hai aa.ina
ban kar jo koi samne aata hai aaina
KHeme mein dil ke aa ke lagata hai aaina
wo kaun hai ye mujh se kabhi puchhta nahin
main kaun hun ye mujh ko batata hai aaina
is aks ke bar-aks koi aks hai kahin
kyon aks ko bar-aks dikhata hai aaina
KHud ko sajae jate hain wo aaine ko dekh
jalwon se un ke KHud ko sajata hai aaina
KHud aaine pe un ki Thaharti nahin nazar
kaise phir un se aankh milata hai aaina
ye mera aks hai to magar ajnabi sa hai
kyon kar mujhe mujhi si chhupata hai aaina
kab dil ke aaine mein khila karte hain gulab
kab aaine mein phul khilata hai aaina
aaweza dekhte hain wo jhuk kar qarib se
ya un ko koi raaz batata hai aaina
jab mera aks mujh se mumasil nahin raha
kyon mera aks mujh ko dikhata hai aaina
is aaine mein aks kisi ka hai raat-din
'ahmad' ye ishq dil ko banata hai aaina
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.