ban ke aansu meri aankhon mein samane wale
ban ke aañsū mirī āñkhoñ meñ samāne vaale
ḳhair ho terī mujhe chhoḌ ke jaane vaale
āḳhirash kaun sā rasta hai jidhar jaate haiñ
chhoḌ kar raah meñ ye saath nibhāne vaale
ham to sheroñ ko udāsī ke sabab kahte haiñ
jaane kyoñ jalte haiñ phir ham se zamāne vaale
jag.heñ kuchh hotīñ nahīñ yaar tumhāre laa.eq
har jagah hote ho tum paañv jamāne vaale
apnī umreñ bhī bitā.eñ ki jatan laakh kiye
phir bhī nākām rahe haq ko dabāne vaale
vo kyā jaane haiñ ye tāsīr qalam kī 'hamza'
log hote haiñ jo talvār chalāne vaale
ban ke aansu meri aankhon mein samane wale
KHair ho teri mujhe chhoD ke jaane wale
aaKHirash kaun sa rasta hai jidhar jate hain
chhoD kar rah mein ye sath nibhane wale
hum to sheron ko udasi ke sabab kahte hain
jaane kyon jalte hain phir hum se zamane wale
jaghen kuchh hotin nahin yar tumhaare laeq
har jagah hote ho tum panw jamane wale
apni umren bhi bitaen ki jatan lakh kiye
phir bhi nakaam rahe haq ko dabane wale
wo kya jaane hain ye tasir qalam ki 'hamza'
log hote hain jo talwar chalane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.