ban ke ek KHwab sa palkon pe sanwar jaenge
ban ke ik ḳhvāb sā palkoñ pe sañvar jā.eñge
ik mulāqāt meñ ham dil meñ utar jā.eñge
ham se milnā ho to jazbāt chhupā kar milnā
varna jazbāt meñ ham aag sī bhar jā.eñge
ik tabassum pe mire badle zamāne kā chalan
ham jo rūThe to ka.ī chehre utar jā.eñge
ham ġham-e-zīst uThā kar tire paas aate haiñ
tū bhī jo dard hī degā to kidhar jā.eñge
hai mohabbat to zamāne meñ sabhī haiñ apne
varna raahī yūñhī ā.eñge guzar jā.eñge
ban ke ek KHwab sa palkon pe sanwar jaenge
ek mulaqat mein hum dil mein utar jaenge
hum se milna ho to jazbaat chhupa kar milna
warna jazbaat mein hum aag si bhar jaenge
ek tabassum pe mere badle zamane ka chalan
hum jo ruThe to kai chehre utar jaenge
hum gham-e-zist uTha kar tere pas aate hain
tu bhi jo dard hi dega to kidhar jaenge
hai mohabbat to zamane mein sabhi hain apne
warna rahi yunhi aaenge guzar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.