ban ke KHushbu wo basa hai mujh mein
ban ke ḳhushbū vo basā hai mujh meñ
har nafas mauj-e-sabā hai mujh meñ
hai tasavvur meñ koī mast-e-ḳhirām
ik qayāmat sī bapā hai mujh meñ
tāqat-e-jumbish-e-pā ho ki na ho
himmat-e-laġhzish-e-pā hai mujh meñ
dil meñ ik tiir tarāzū ho kar
dard ko tol rahā hai mujh meñ
koī armān na niklā ab tak
ek mela sā lagā hai mujh meñ
hasb-e-har-jabr-e-mashiyat 'aḳhgar'
vasf-e-taslīm-o-razā hai mujh meñ
ban ke KHushbu wo basa hai mujh mein
har nafas mauj-e-saba hai mujh mein
hai tasawwur mein koi mast-e-KHiram
ek qayamat si bapa hai mujh mein
taqat-e-jumbish-e-pa ho ki na ho
himmat-e-laghzish-e-pa hai mujh mein
dil mein ek tir taraazu ho kar
dard ko tol raha hai mujh mein
koi arman na nikla ab tak
ek mela sa laga hai mujh mein
hasb-e-har-jabr-e-mashiyat 'aKHgar'
wasf-e-taslim-o-raza hai mujh mein
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 80)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.