ban ke meri ham-safar usne oDhi dhup
ban ke merī ham-safar us ne oḌhī dhuup
ruup kā amrit pī ga.ī nāgin jaisī dhuup
kisī ne mahkī sub.h lī kisī ne bhīgī raat
ham apne ghar le chale duniyā bhar kī dhuup
dard kā sūraj sar pe thā āñkheñ thiiñ be-nīnd
raat hamāre sahn meñ pahroñ barsī dhuup
apne dushman aap haiñ kis ko deñ ilzām
sukh ke sapne bech kar ham ne ḳharīdī dhuup
kaun kisī kā ham-safar kaun kisī kā miit
apnī apnī chhāñv hai apnī apnī dhuup
achchhā to ab alvidā.a ai yādoñ kī chhāñv
kab se merā rāsta taktī hogī dhuup
ban ke meri ham-safar us ne oDhi dhup
rup ka amrit pi gai nagin jaisi dhup
kisi ne mahki subh li kisi ne bhigi raat
hum apne ghar le chale duniya bhar ki dhup
dard ka suraj sar pe tha aankhen thin be-nind
raat hamare sahn mein pahron barsi dhup
apne dushman aap hain kis ko den ilzam
sukh ke sapne bech kar hum ne KHaridi dhup
kaun kisi ka ham-safar kaun kisi ka mit
apni apni chhanw hai apni apni dhup
achchha to ab alwidaa ai yaadon ki chhanw
kab se mera rasta takti hogi dhup
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.