ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log
ban ke sāhil kī nigāhoñ meñ tamāshā ham log
naqsh-e-pā DhūñD rahe haiñ sar-e-dariyā ham log
saa.e chhūTe to pighalne lage phir dhuup meñ jism
kaash hote na kabhī ḳhud se shanāsā ham log
ham ko nafrat hai añdheroñ se magar kyā kiije
ki ujāloñ se bhī rakhte nahīñ rishta ham log
kuchh nazar aatā nahīñ jin meñ dhuñdlakoñ ke sivā
karte rahte haiñ unhīñ ḳhvāboñ ke dar vā ham log
zehn par baar hai āñkhoñ kā muqaddar hai thakan
ḳhvāb agar dekhte bhī haiñ to adhūrā ham log
apnī hī āñkhoñ se girte hue dekhā jis ko
DhūñDhte kyuuñ usī dīvār kā saayā ham log
ban ke sahil ki nigahon mein tamasha hum log
naqsh-e-pa DhunD rahe hain sar-e-dariya hum log
sae chhuTe to pighalne lage phir dhup mein jism
kash hote na kabhi KHud se shanasa hum log
hum ko nafrat hai andheron se magar kya kije
ki ujalon se bhi rakhte nahin rishta hum log
kuchh nazar aata nahin jin mein dhundlakon ke siwa
karte rahte hain unhin KHwabon ke dar wa hum log
zehn par bar hai aankhon ka muqaddar hai thakan
KHwab agar dekhte bhi hain to adhura hum log
apni hi aankhon se girte hue dekha jis ko
DhunDhte kyun usi diwar ka saya hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.