ban sakega na ye aaina sahaara apna
ban sakegā na ye ā.īna sahārā apnā
koī andhā kahīñ kartā hai nazāra apnā
bad-nasībī kī bhī hotī hai koī had yaaro
ḳhud mirī samt palaT aaya ishāra apnā
aap ke husn-e-karam kā hai ye ehsān baḌā
aisī gardish meñ na thā pahle sitāra apnā
kis taraf jā.egī ye naav ḳhudā hī jaane
sāhil apnā hai na tūfān kā dhārā apnā
ham to girdāb se bhī khelte rahte the 'nasīm'
aaj detā nahīñ ab saath kināra apnā
ban sakega na ye aaina sahaara apna
koi andha kahin karta hai nazara apna
bad-nasibi ki bhi hoti hai koi had yaro
KHud meri samt palaT aaya ishaara apna
aap ke husn-e-karam ka hai ye ehsan baDa
aisi gardish mein na tha pahle sitara apna
kis taraf jaegi ye naw KHuda hi jaane
sahil apna hai na tufan ka dhaara apna
hum to girdab se bhi khelte rahte the 'nasim'
aaj deta nahin ab sath kinara apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.