Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ban-sanwar kar jo wo nikalte hain

Sanjar Ghazipuri

ban-sanwar kar jo wo nikalte hain

Sanjar Ghazipuri

MORE BYSanjar Ghazipuri

    ban-sañvar kar jo vo nikalte haiñ

    dekhne vaale haath malte haiñ

    jab vo ġhairoñ ke saath chalte haiñ

    muuñg chhātī pe merī dalte haiñ

    nā-tavāñ jabki raah chalte haiñ

    kahīñ girte kahīñ sañbhalte haiñ

    ek bose ke ham to saa.il haiñ

    be-liye kab yahāñ se Talte haiñ

    ban-sañvar kar vo naaz se 'sanjar'

    dil lubhāne chaal chalte haiñ

    ban-sanwar kar jo wo nikalte hain

    dekhne wale hath malte hain

    jab wo ghairon ke sath chalte hain

    mung chhati pe meri dalte hain

    na-tawan jabki rah chalte hain

    kahin girte kahin sanbhalte hain

    ek bose ke hum to sail hain

    be-liye kab yahan se Talte hain

    ban-sanwar kar wo naz se 'sanjar'

    dil lubhane ki chaal chalte hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now