bana durdana-e-tasbih yaad-e-haq mein har aansu
bana durdana-e-tasbih yaad-e-haq mein har aansu
Piyare Lal Raunaq Dehlwi
MORE BYPiyare Lal Raunaq Dehlwi
banā durdāna-e-tasbīh yād-e-haq meñ har aañsū
ye e'jāz-e-'ibādat hai musalsal dekhte jaao
munavvar har ghaḌī kāshāna-e-dil apnā rahtā hai
ḳhayāl-e-yār kī raushan hai mash'al dekhte jaao
taqāzā-e-junūñ hai nāḳhun-e-vahshat ko baḌhne do
ye hoñge 'uqda-e-dushvār sab hal dekhte jaao
asar hai mere har tār-e-nafas meñ tār-e-barqī kā
ḳhabar har saañs kī miltī hai pal-pal dekhte jaao
du'ā-e-mai-parastāñ rang laa.ī mo'jiza ho kar
umañD aa.e haiñ rahmat ban ke bādal dekhte jaao
bichhā.e haiñ adab ne manzil-e-dushvār meñ kāñTe
ye rāh-e-'ishq tai karnī hai paidal dekhte jaao
lagī haiñ hazrat-e-zāhid kī nazreñ sū-e-mai-ḳhāna
na jaa.e aaj chorī koī botal dekhte jaao
junūñ meñ hasrateñ haiñ saiñkaḌoñ vābasta-e-vahshat
nazar aa jā.egā jangal meñ mangal dekhte jaao
bana durdana-e-tasbih yaad-e-haq mein har aansu
ye e'jaz-e-'ibaadat hai musalsal dekhte jao
munawwar har ghaDi kashana-e-dil apna rahta hai
KHayal-e-yar ki raushan hai mash'al dekhte jao
taqaza-e-junun hai naKHun-e-wahshat ko baDhne do
ye honge 'uqda-e-dushwar sab hal dekhte jao
asar hai mere har tar-e-nafas mein tar-e-barqi ka
KHabar har sans ki milti hai pal-pal dekhte jao
du'a-e-mai-parastan rang lai mo'jiza ho kar
umanD aae hain rahmat ban ke baadal dekhte jao
bichhae hain adab ne manzil-e-dushwar mein kanTe
ye rah-e-'ishq tai karni hai paidal dekhte jao
lagi hain hazrat-e-zahid ki nazren su-e-mai-KHana
na jae aaj chori koi botal dekhte jao
junun mein hasraten hain sainkaDon wabasta-e-wahshat
nazar aa jaega jangal mein mangal dekhte jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.