bana gaya hai bayaban ka baghban mujhko
banā gayā hai bayābāñ kā bāġhbāñ mujh ko
rulā gayā hai sitam-zarf āsmāñ mujh ko
mile haiñ ashk-e-ravāñ nāla-o-fuġhāñ fariyād
diyā hai haa.e ye sab tū ne mehrbāñ mujh ko
diyā hai tum ne hī ilzām bevafā.ī kā
sitam hai tum ne hī samjhā hai bad-gumāñ mujh ko
maiñ miT gayā bhī to merā vajūd qaa.em hai
na samjhe phir koī be-nām-o-be-nishāñ mujh ko
na jaane kaun sī shai se chhuā gayā huuñ maiñ
ki DhūñDhtī hī rahī gard-e-kārvāñ mujh ko
qafas nasīb huuñ tanhā.ī hai añdherā hai
har ek samt nazar aa.e hai dhuāñ mujh ko
fanā kī zad se huuñ bāhar ye jāntā huuñ maiñ
hayāt mil ga.ī hai jab ki jāvedāñ mujh ko
na jaane kyoñ mire naqsh-e-qadam se nafrat thī
miTā ke rakh diyā dekhā jahāñ-jahāñ mujh ko
vo gulsitāñ ki jahāñ jal gayā dil-e-mahzūñ
pukārtā hai vahāñ apnā āshiyāñ mujh ko
bahār aziiz hai vo kahte haiñ magar mujh ko
azīz-tar hai 'shafaq' mausam-e-ḳhizāñ mujh ko
bana gaya hai bayaban ka baghban mujh ko
rula gaya hai sitam-zarf aasman mujh ko
mile hain ashk-e-rawan nala-o-fughan fariyaad
diya hai hae ye sab tu ne mehrban mujh ko
diya hai tum ne hi ilzam bewafai ka
sitam hai tum ne hi samjha hai bad-guman mujh ko
main miT gaya bhi to mera wajud qaem hai
na samjhe phir koi be-nam-o-be-nishan mujh ko
na jaane kaun si shai se chhua gaya hun main
ki DhunDhti hi rahi gard-e-karwan mujh ko
qafas nasib hun tanhai hai andhera hai
har ek samt nazar aae hai dhuan mujh ko
fana ki zad se hun bahar ye jaanta hun main
hayat mil gai hai jab ki jawedan mujh ko
na jaane kyon mere naqsh-e-qadam se nafrat thi
miTa ke rakh diya dekha jahan-jahan mujh ko
wo gulsitan ki jahan jal gaya dil-e-mahzun
pukarta hai wahan apna aashiyan mujh ko
bahaar aziz hai wo kahte hain magar mujh ko
aziz-tar hai 'shafaq' mausam-e-KHizan mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.