bana hai shahr mein jis ka makan shishe ka
banā hai shahr meñ jis kā makān shīshe kā
vo chāhtā hai bane āsmān shīshe kā
ye chand haath ye patthar miTā na pā.eñge
bahut baḌā hai yahāñ ḳhāndān shīshe kā
maiñ tez dhuup se ḳhud ko bachāne pahuñchā thā
nasīb dekho milā sā.ebān shīshe kā
hasīn chāñd se chehre ko rū-ba-rū rakh kar
vo aaj toḌ gayā hai gumān shīshe kā
mire qabīle kā sardār jab huā andhā
miTā qabīle se har ik nishān shīshe kā
karoḌoñ logoñ ke sar par nahīñ hai chhat lekin
banā rahā hai vo hindostān shīshe kā
huzūr aap ne kāġhaz ke phuul rakkhe haiñ
kahāñ se laa.e mahak phūl-dān shīshe kā
sadāqatoñ kī shahādat ke naam par 'aḳhlāq'
qadam-qadam pe huā imtihān shīshe kā
bana hai shahr mein jis ka makan shishe ka
wo chahta hai bane aasman shishe ka
ye chand hath ye patthar miTa na paenge
bahut baDa hai yahan KHandan shishe ka
main tez dhup se KHud ko bachane pahuncha tha
nasib dekho mila saeban shishe ka
hasin chand se chehre ko ru-ba-ru rakh kar
wo aaj toD gaya hai guman shishe ka
mere qabile ka sardar jab hua andha
miTa qabile se har ek nishan shishe ka
karoDon logon ke sar par nahin hai chhat lekin
bana raha hai wo hindostan shishe ka
huzur aap ne kaghaz ke phul rakkhe hain
kahan se lae mahak phul-dan shishe ka
sadaqaton ki shahadat ke nam par 'aKHlaq'
qadam-qadam pe hua imtihan shishe ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.