bana kar saneha koi tamasha ye karaata hai
banā kar sāneha koī tamāshā ye karātā hai
falak ma.asūm logoñ ko bahut aañsū rulātā hai
maiñ dil kī laash par nauha-kunāñ huuñ aur tū zālim
bulā kar shahr-dāroñ ko mirā chehra dikhātā hai
are had ho chukī bas be-hisī ye ahl-e-masnad kī
sar-e-bāzār lāshoñ kī koī bolī lagātā hai
yahāñ chaltā hai mere shahr meñ qānūn jañgal kā
yahāñ har memana koī darinda kaaT khātā hai
tujhe ma.alūm bhī hai ye nagar hai zulm-zādoñ kā
hai anqā adl yaañ zanjīr kis ḳhātir hilātā hai
use aatī faqat hai masnad-e-jāñ par ḳhud-ārā.ī
vo fāriġh baiTh kar bas ḳhālī taqrīreñ banātā hai
mire maulā mire bachchoñ ko rakh apne amaañ meñ tū
ki 'ādil' vaqt kā hālat pe merī muskurātā hai
bana kar saneha koi tamasha ye karaata hai
falak masum logon ko bahut aansu rulata hai
main dil ki lash par nauha-kunan hun aur tu zalim
bula kar shahr-daron ko mera chehra dikhata hai
are had ho chuki bas be-hisi ye ahl-e-masnad ki
sar-e-bazar lashon ki koi boli lagata hai
yahan chalta hai mere shahr mein qanun jangal ka
yahan har memana koi darinda kaT khata hai
tujhe malum bhi hai ye nagar hai zulm-zadon ka
hai anqa adl yan zanjir kis KHatir hilata hai
use aati faqat hai masnad-e-jaan par KHud-arai
wo farigh baiTh kar bas KHali taqriren banata hai
mere maula mere bachchon ko rakh apne aman mein tu
ki 'adil' waqt ka haalat pe meri muskuraata hai
- Book : Inpage File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.