bana ke apne safine ka naKHuda mujhko
banā ke apne safīne kā nāḳhudā mujh ko
kisī ne kar diyā tūfāñ se āshnā mujh ko
maiñ ek sang-e-sar-afganda tū hai sang-tarāsh
sutūn-e-ka.aba banā yā sanam banā mujh ko
maiñ ḳhud-ġharaz huuñ kisī kā nahīñ huuñ apne sivā
zamāna hai ki samajhtā hai āshnā mujh ko
tumhārā shahr gulistāñ sahī magar is meñ
mile haiñ ḳhuun ke dhabbe bhī jā-ba-jā mujh ko
maiñ zindagī se bahut kuchh mutālba kartā
tirī nigāh ne ḳhāmosh kar diyā mujh ko
nigāh-e-shauq hī behtar hai iltijā ke liye
zabāñ khulegī to samjheñge vo gadā mujh ko
vo bad-nasīb musāfir huuñ rāh-e-hastī kā
na rāhzan hī mayassar na rahnumā mujh ko
gilā nahīñ mujhe 'ehsāñ' tahī sahī dāman
ye kam nahīñ ki milā dast-e-be-duā mujh ko
bana ke apne safine ka naKHuda mujh ko
kisi ne kar diya tufan se aashna mujh ko
main ek sang-e-sar-afganda tu hai sang-tarash
sutun-e-kaba bana ya sanam bana mujh ko
main KHud-gharaz hun kisi ka nahin hun apne siwa
zamana hai ki samajhta hai aashna mujh ko
tumhaara shahr gulistan sahi magar is mein
mile hain KHun ke dhabbe bhi ja-ba-ja mujh ko
main zindagi se bahut kuchh mutalba karta
teri nigah ne KHamosh kar diya mujh ko
nigah-e-shauq hi behtar hai iltija ke liye
zaban khulegi to samjhenge wo gada mujh ko
wo bad-nasib musafir hun rah-e-hasti ka
na rahzan hi mayassar na rahnuma mujh ko
gila nahin mujhe 'ehsan' tahi sahi daman
ye kam nahin ki mila dast-e-be-dua mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.