bana ke rakkha hai duniya ne yarghamal mujhe
banā ke rakkhā hai duniyā ne yarġhamāl mujhe
ḳhudā-e-pāk yahāñ se tū ab nikāl mujhe
kabhī jo bhuul ke ho jaa.e sāmnā apnā
chiḌhāte rahte haiñ apne hī ḳhadd-o-ḳhāl mujhe
mujhe sañbhālne vaalā na mil sakā jo kabhī
to ḳhud hī karnī paḌī apnī dekh-bhāl mujhe
ye soch soch ke maiñ kaaT lūñgā hijr ke din
kabhī to hogī mayassar shab-e-visāl mujhe
hamesha jaatā hai pahle ḳhud apne aib pe dhyān
dikhā.ī detā hai jab aa.ine meñ baal mujhe
ab aise shahr se kyā zindagī ke imkānāt
jahāñ mile na koī ek ham-ḳhayāl mujhe
ye sirf mere buzurgoñ kā faiz hai 'shāhid'
ġhazal meñ ho gayā hāsil jo kuchh kamāl mujhe
bana ke rakkha hai duniya ne yarghamal mujhe
KHuda-e-pak yahan se tu ab nikal mujhe
kabhi jo bhul ke ho jae samna apna
chiDhate rahte hain apne hi KHadd-o-KHal mujhe
mujhe sanbhaalne wala na mil saka jo kabhi
to KHud hi karni paDi apni dekh-bhaal mujhe
ye soch soch ke main kaT lunga hijr ke din
kabhi to hogi mayassar shab-e-visal mujhe
hamesha jata hai pahle KHud apne aib pe dhyan
dikhai deta hai jab aaine mein baal mujhe
ab aise shahr se kya zindagi ke imkanat
jahan mile na koi ek ham-KHayal mujhe
ye sirf mere buzurgon ka faiz hai 'shahid'
ghazal mein ho gaya hasil jo kuchh kamal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.