bana leta main tujhko ham-safar kuchh sal pahle tak
banā letā maiñ tujh ko ham-safar kuchh saal pahle tak
magar is baat se lagtā thā Dar kuchh saal pahle tak
mujhe fikr-e-ma.īshat thī tujhe ḳhauf-e-judā.ī thā
alag the zāviya-hā-e-nazar kuchh saal pahle tak
maiñ nādāñ thā use apne tasarruf meñ nahīñ laayā
bahut nazdīk thī shāḳh-e-samar kuchh saal pahle tak
tirī darvesh-āñkhoñ kā irādat-mand ban jaatā
tū mujh ko mil ga.ī hotī agar kuchh saal pahle tak
inheñ chun chun ke tere ishq kā īñdhan banā detā
ye māh-o-sāl saale the kidhar kuchh saal pahle tak
tire gāloñ ke Dimple meñ nigāheñ Duub jaatī thiiñ
lahū meñ raqs karte the bhañvar kuchh saal pahle tak
mujhe 'yāvar-azīm' ab tak vo āñkheñ yaad aatī haiñ
maiñ un palkoñ ke thā zer-e-asar kuchh saal pahle tak
bana leta main tujh ko ham-safar kuchh sal pahle tak
magar is baat se lagta tha Dar kuchh sal pahle tak
mujhe fikr-e-maishat thi tujhe KHauf-e-judai tha
alag the zawiya-ha-e-nazar kuchh sal pahle tak
main nadan tha use apne tasarruf mein nahin laya
bahut nazdik thi shaKH-e-samar kuchh sal pahle tak
teri darwesh-ankhon ka iradat-mand ban jata
tu mujh ko mil gai hoti agar kuchh sal pahle tak
inhen chun chun ke tere ishq ka indhan bana deta
ye mah-o-sal sale the kidhar kuchh sal pahle tak
tere galon ke Dimple mein nigahen Dub jati thin
lahu mein raqs karte the bhanwar kuchh sal pahle tak
mujhe 'yawar-azim' ab tak wo aankhen yaad aati hain
main un palkon ke tha zer-e-asar kuchh sal pahle tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.