bana lete hain mil-jul kar magar har bar girti hai
banā lete haiñ mil-jul kar magar har baar girtī hai
ḳhasāra mulk kā hotā hai jab sarkār girtī hai
maiñ jab bhī dushmanoñ se jang kā elaan kartā huuñ
mire sar par mire ahbāb kī talvār girtī hai
jo be-ghar haiñ unheñ be-shak ḳhushī hotī to hai dil se
amīr-e-shahr ke bangle kī jab dīvār girtī hai
vo baḌh kar ḳhud hī hotā hai muḳhātib sinf-e-nāzuk se
use ġham bhī nahīñ hotā hai jab dastār girtī hai
ġharībī tishnagī apnī bujhāne phir vahīñ pahuñchī
phaTe pipe se paanī kī jahāñ pe dhaar girtī hai
hamāre shīsha-e-dil par girā yuuñ dard kā patthar
zarā sī chuuk se khaa.ī meñ jaise car girtī hai
bahut hachkole kashtī khā rahī hai kyā karūñ 'ahsan'
idhar ḳhud ko bachātā huuñ udhar patvār girtī hai
bana lete hain mil-jul kar magar har bar girti hai
KHasara mulk ka hota hai jab sarkar girti hai
main jab bhi dushmanon se jang ka elan karta hun
mere sar par mere ahbab ki talwar girti hai
jo be-ghar hain unhen be-shak KHushi hoti to hai dil se
amir-e-shahr ke bangle ki jab diwar girti hai
wo baDh kar KHud hi hota hai muKHatib sinf-e-nazuk se
use gham bhi nahin hota hai jab dastar girti hai
gharibi tishnagi apni bujhane phir wahin pahunchi
phaTe pipe se pani ki jahan pe dhaar girti hai
hamare shisha-e-dil par gira yun dard ka patthar
zara si chuk se khai mein jaise car girti hai
bahut hachkole kashti kha rahi hai kya karun 'ahsan'
idhar KHud ko bachata hun udhar patwar girti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.