Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

banaen ret pe ghar apna ye umang na ho

Mohammad Iqbal Ahmad

banaen ret pe ghar apna ye umang na ho

Mohammad Iqbal Ahmad

MORE BYMohammad Iqbal Ahmad

    banā.eñ ret pe ghar apnā ye umang na ho

    ki mauj-e-āb se hargiz hamārī jang na ho

    sitamgarī tashaddud hamārā Dhang na ho

    ye hañstī kheltī duniyā kaTī patang na ho

    ḳhud apne ḳhuun se tehvār ham manāte haiñ

    ḳhudā-rā aisī masarrat bharī tarang na ho

    gireñgī uThtī raheñgī dīvāreñ āñgan

    diloñ ke biich ḳhalish agar surang na ho

    sad ehtirām ke qābil vo sañg-e-asvad hai

    zamīñ pe us ke muqābil koī sang na ho

    kushāda-zehn ho 'iqbāl' tum sabhoñ ke liye

    kisī bashar ke liye bhī nigāh-tañg na ho

    banaen ret pe ghar apna ye umang na ho

    ki mauj-e-ab se hargiz hamari jang na ho

    sitamgari ya tashaddud hamara Dhang na ho

    ye hansti khelti duniya kaTi patang na ho

    KHud apne KHun se tehwar hum manate hain

    KHuda-ra aisi masarrat bhari tarang na ho

    girengi uThti rahengi diwaren aangan ki

    dilon ke bich KHalish ki agar surang na ho

    sad ehtiram ke qabil wo sang-e-aswad hai

    zamin pe us ke muqabil ka koi sang na ho

    kushada-zehn ho 'iqbaal' tum sabhon ke liye

    kisi bashar ke liye bhi nigah-tang na ho

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now