banaya bigaDa bigaDa banaya
banāyā bigāḌā bigāḌā banāyā
hameñ vaqt ne chāhā jaise nachāyā
nahīñ kar sake ham jo chāhat ko hāsil
to hāsil thā jo us ko chāhat banāyā
muqābil hamesha rahe chhūT ke ham
zamāne ne ham ko hī chhoTā banāyā
nahīñ ye tumhārī hai ġhalatī hamārī
ki jaisā thā vaisā hī chehra dikhāyā
rahe dauḌ meñ ham hamesha hī pīchhe
hameñ vaqt ke saath chalnā na aaya
banaya bigaDa bigaDa banaya
hamein waqt ne chaha jaise nachaya
nahin kar sake hum jo chahat ko hasil
to hasil tha jo us ko chahat banaya
muqabil hamesha rahe chhuT ke hum
zamane ne hum ko hi chhoTa banaya
nahin ye tumhaari hai ghalati hamari
ki jaisa tha waisa hi chehra dikhaya
rahe dauD mein hum hamesha hi pichhe
hamein waqt ke sath chalna na aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.