banaya tha KHirad ko rahnuma-e-karwan humne
banāyā thā ḳhirad ko rahnumā-e-kārvāñ ham ne
kahāñ kī manzil apnā bhī na paayā kuchh nishāñ ham ne
tasavvur kā takalluf bhī na rakkhā darmiyāñ ham ne
hijāboñ kā miTā kar rakh diyā nām-o-nishāñ ham ne
vahāñ rūdād-e-ġham palkoñ pe aa kar kah ga.e aañsū
jahāñ kholī na pās-e-zabt se apnī zabāñ ham ne
tujhe kyoñ dushmanī hai bāġhbāñ in chand tinkoñ se
banāyā hai tire gulshan se haT kar āshiyāñ ham ne
karishma hai kisī ke husn kī sehrr-āfrīnī kā
ḳhizāñ ke bhes meñ paayā bahāroñ ko nihāñ ham ne
rah-e-hastī kī zulmat meñ judā jab ho ga.e rahbar
banāyā jazb-e-dil ko rahnumā-e-kārvāñ ham ne
ġhulāmī ke añdhere chhaT ga.e muddat huī lekin
na dekhā mehr-e-āzādī ko ab tak zau-fishāñ ham ne
kiyā duniyā meñ ham ne aam dastūr-e-vafā 'sābir'
sikhā.ī ahl-e-ālam ko mohabbat kī zabāñ ham ne
banaya tha KHirad ko rahnuma-e-karwan hum ne
kahan ki manzil apna bhi na paya kuchh nishan hum ne
tasawwur ka takalluf bhi na rakkha darmiyan hum ne
hijabon ka miTa kar rakh diya nam-o-nishan hum ne
wahan rudad-e-gham palkon pe aa kar kah gae aansu
jahan kholi na pas-e-zabt se apni zaban hum ne
tujhe kyon dushmani hai baghban in chand tinkon se
banaya hai tere gulshan se haT kar aashiyan hum ne
karishma hai kisi ke husn ki sehrr-afrini ka
KHizan ke bhes mein paya bahaaron ko nihan hum ne
rah-e-hasti ki zulmat mein juda jab ho gae rahbar
banaya jazb-e-dil ko rahnuma-e-karwan hum ne
ghulami ke andhere chhaT gae muddat hui lekin
na dekha mehr-e-azadi ko ab tak zau-fishan hum ne
kiya duniya mein hum ne aam dastur-e-wafa 'sabir'
sikhai ahl-e-alam ko mohabbat ki zaban hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.