band fasilen shahr ki toDen zat ki girhen kholen
band fasīleñ shahr kī toḌeñ zaat kī girheñ kholeñ
bargad nīche nadī kināre baiTh kahānī boleñ
dhīre dhīre ḳhud ko nikāleñ is bandhan jakḌan se
sañg kisī āvāra manush ke haule haule ho leñ
fikr kī kis sarshār Dagar par shaam Dhale jī chāhā
jhiil meñ Thahre apne aks ko chūmeñ hoñT bhigo leñ
haath lagā baiThe to jīvan bhar maqrūz raheñge
daam na pūchheñ dard ke sāhab pahle jeb TaToleñ
naushādar gandhak kī zabāñ meñ sher kaheñ is yug meñ
sach ke niile zahr ko lahje ke tezāb meñ gholeñ
apnī nazar ke baaT na rakkheñ 'sāz' ham ik palḌe meñ
bojhal tanqīdoñ se kyuuñ apne iz.hār ko tauleñ
band fasilen shahr ki toDen zat ki girhen kholen
bargad niche nadi kinare baiTh kahani bolen
dhire dhire KHud ko nikalen is bandhan jakDan se
sang kisi aawara manush ke haule haule ho len
fikr ki kis sarshaar Dagar par sham Dhale ji chaha
jhil mein Thahre apne aks ko chumen honT bhigo len
hath laga baiThe to jiwan bhar maqruz rahenge
dam na puchhen dard ke sahab pahle jeb TaTolen
naushadar gandhak ki zaban mein sher kahen is yug mein
sach ke nile zahr ko lahje ke tezab mein gholen
apni nazar ke baT na rakkhen 'saz' hum ek palDe mein
bojhal tanqidon se kyun apne izhaar ko taulen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.