band ghar ke kamre ki raushni nahin achchhi
band ghar ke kamre kī raushnī nahīñ achchhī
aur jaan hijrat kī tīrgī nahīñ achchhī
chhoḌ kar yahāñ mujh ko jā rahā hai tū shāyad
bin tire jo jiinī hai zindagī nahīñ achchhī
boltī hai ye un ko roknā nahīñ jānāñ
jhiil jaisī āñkhoñ kī ḳhāmushī nahīñ achchhī
ġham saheñ raheñ tanhā ājizī kareñ lekin
ishq tere chehre par bebasī nahīñ achchhī
māntā huuñ ab tum meñ tāb-e-ġham nahīñ hai par
janm-din pe 'yashvardhan' ḳhud-kushī nahīñ achchhī
band ghar ke kamre ki raushni nahin achchhi
aur jaan hijrat ki tirgi nahin achchhi
chhoD kar yahan mujh ko ja raha hai tu shayad
bin tere jo jini hai zindagi nahin achchhi
bolti hai ye un ko rokna nahin jaanan
jhil jaisi aankhon ki KHamushi nahin achchhi
gham sahen rahen tanha aajizi karen lekin
ishq tere chehre par bebasi nahin achchhi
manta hun ab tum mein tab-e-gham nahin hai par
janm-din pe 'yashwardhan' KHud-kushi nahin achchhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.