band hai qismat ka darwaza dastak aai khiDki se
band hai qismat kā darvāza dastak aa.ī khiḌkī se
chāñdnī aa.ī chāñd se milne aur muskā.ī khiḌkī se
suune dil meñ dhuum machī hai ḳhushiyoñ kī bārāt sajī
mujh se milne vo aa.e haiñ aahaT paa.ī khiḌkī se
jhiil kī jaisī in āñkhoñ ko chūmne kā dil kartā hai
dil ke āñgan meñ jaane kī raah banā.ī khiḌkī se
din kā sūraj raat ko niklā mausam bhī badlā badlā
dhuup ne apnā haath baḌhā kar niiñd churā.ī khiḌkī se
kāġhaz ke do phuul khile haiñ ḳhushbū phailī kamre meñ
'nāz' bahāroñ kī ye rut bhī phāñd ke aa.ī khiḌkī se
band hai qismat ka darwaza dastak aai khiDki se
chandni aai chand se milne aur muskai khiDki se
sune dil mein dhum machi hai KHushiyon ki baraat saji
mujh se milne wo aae hain aahaT pai khiDki se
jhil ki jaisi in aankhon ko chumne ka dil karta hai
dil ke aangan mein jaane ki rah banai khiDki se
din ka suraj raat ko nikla mausam bhi badla badla
dhup ne apna hath baDha kar nind churai khiDki se
kaghaz ke do phul khile hain KHushbu phaili kamre mein
'naz' bahaaron ki ye rut bhi phand ke aai khiDki se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.