band tha darwaza bhi aur agar mein bhi tanha tha main
band tha darwaza bhi aur agar mein bhi tanha tha main
Amjad Islam Amjad
MORE BYAmjad Islam Amjad
band thā darvāza bhī aur agar meñ bhī tanhā thā maiñ
vahm thā jaane mirā yā aap hī bolā thā meñ
yaad hai ab tak mujhe vo bad-havāsī kā samāñ
tere pahle ḳhat ko ghanToñ chūmtā rahtā thā maiñ
rāstoñ par tīrgī kī ye farāvānī na thī
is se pahle bhī tumhāre shahr meñ aayā thā maiñ
merī uñglī par haiñ ab tak mere dāñtoñ ke nishāñ
ḳhvāb hī lagtā hai phir bhī jis jagah baiThā thā maiñ
aaj 'amjad' vahm hai mere liye jis kā vajūd
kal usī kā haath thāme ghūmtā phirtā thā maiñ
band tha darwaza bhi aur agar mein bhi tanha tha main
wahm tha jaane mera ya aap hi bola tha mein
yaad hai ab tak mujhe wo bad-hawasi ka saman
tere pahle KHat ko ghanTon chumta rahta tha main
raston par tirgi ki ye farawani na thi
is se pahle bhi tumhaare shahr mein aaya tha main
meri ungli par hain ab tak mere danton ke nishan
KHwab hi lagta hai phir bhi jis jagah baiTha tha main
aaj 'amjad' wahm hai mere liye jis ka wajud
kal usi ka hath thame ghumta phirta tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.